ma: bigul baj rahā āzādī kā
gagan gūṇjtā nāroṅ se
milā rahī hai āj hind kī
miṭṭī nazar sitāroṅ se
ek bāt kahnī hai lekin
āj deśh ke pyāroṅ se
jantā se netāoṅ se
fauzoṅ kī khaṛī qatāroṅ se
kahnī hai ik bāt hameṅ is
deśh ke pahrodāroṅ se
sambhal ke rahnā apne ghar meṅ
chhipe huye ġhaddāroṅ se
jhāṇk rahe haiṅ apne duśhman
apnī hī dīvāroṅ se
ko: sambhal ke rahnā apne ghar meṅ
chhipe huye ġhaddāroṅ se
ma: ai bhārat mātā ke beṭo -2
sunoṅ samay kī bolī ko
phailātī jo phūṭ yahāṇ par
dūr karo us ṭolī ko
ko: ai bhārat mātā ke beṭo
sunoṅ samay kī bolī ko
phailātī jo phūṭ yahāṇ par
dūr karo us ṭolī ko
ma: kabhī na jalne denā phir se
bhed-bhāv kī holī ko
jo gāṇdhī ko chīr gaī thī
yād karo us golī ko
sārī bastī jal jātī hai
muṭṭhī bhar aṅgāroṅ se
ko: sambhal ke rahnā apne ghar meṅ
chhipe huye ġhaddāroṅ se
ma: jāgo tumko bāpū kī
jāgīr kī rakṣhā karnī hai
ko: jāgo tumko bāpū kī
jāgīr kī rakṣhā karnī hai
ma: jāgoṅ lākhoṅ logoṅ kī
taqdīr kī rakṣhā karnī hai
ko: jāgoṅ lākhoṅ logoṅ kī
taqdīr kī rakṣhā karnī hai
ma: abhī-abhī jo banī hai us
tasvīr kī rakṣhā karnī hai
ko: abhī-abhī jo banī hai us
tasvīr kī rakṣhā karnī hai
ma: hośhiyār
ko: hośhiyār
ma: hośhiyār tumko apne
kaśhmīr kī rakṣhā karnī hai
ko: hośhiyār tumko apne
kaśhmīr kī rakṣhā karnī hai
ma: ātī hai āvāz yahī
mandir masjid gurudvāroṅ se
ko: sambhal ke rahnā apne ghar meṅ
chhipe huye ġhaddāroṅ se