khudā-e-bartar terī zamīṅ par, zamīṅ kī khātir ye jaṅg kyoṅ hai
har ek fatah-o-zafar ke dāman pe khūn-e-īnsāṅ kā raṅg kyoṅ hai
khudā-e-bartar …
zamīṅ bhī terī, haiṅ ham bhī tere, ye milkiyat kā savāl kyā hai
ye katl-o-khūṇ kā rivāz kyoṅ hai, ye rasm-e-jaṅg-o-jadāl kyā hai
jinhe talab hai jahān bhar kī, unhī kā dil itnā taṅg kyoṅ hai
khudā-e-bartar …
ġharīb māṇo śharīf behnoṅ ko amn-o-izazat kī ziṅdgī de
jinhe atā kī hai tū ne tāqat, unhe hidāyat kī rośhnī de
saroṅ meṅ kibr-o-ġhurūr kyoṅ haiṅ, diloṅ ke śhīśhe pe zaṅg kyoṅ hai
khudā-e-bartar …
khazā ke raste pe jānevāloṅ ko bach ke āne kī rāh denā
diloṅ ke gulaśhan ujaṛ na jāe, muhabbtoṅ ko panāh denā
jahāṇ meṅ jaśhn-e-vafā ke badle, ye jaśhn-e-tīr-o-tafaṅg kyoṅ hai
khudā-e-bartar …
khudā-e-bartar terī zamīṅ par, zamīṅ kī khātir ye jaṅg kyoṅ hai
har ek fatah-o-zafar ke dāman pe khūn-e-insāṅ kā raṅg kyoṅ hai
khudā-e-bartar …