śhurū hotā hai phir bātoṅ kā mausam
suhānī chāṇdnī rātoṅ kā mausam
bujhāeṇ kis tarah dil kī lagī ko
lagāeṇ āg ham is chāṇdnī ko
ki chāṇd sā koī chahrā na pahlū meṅ ho
arz kiyā hai …
hāy, ki chāṇd sā koī chahrā na pahlū meṅ ho
to chāṇdnī kā mazā nahīṅ ātā
are, jām pīkar śharābī na gir jāe to -2
mayakśhī kā mazāa nahīṅ ātā
ki chāṇd sā koī chahrā …
ziṅdgī hai mukammal adhūrī nahīṅ
chāṇd sā koī chahrā zarūrī nahīṅ
husn saiyyād hai, iśhq fariyād hai
ye jo do nām haiṅ, donoṅ badnām haiṅ
tum to nādān ho, ġham ke mehmān ho
dil zarā thām lo, aql se kām lo
agarach rośhnī hotī hai sāhab sab chirāġhoṅ se
zarā sā farq hotā hai diloṅ meṅ aur dimāġhoṅ meṅ
ai mere dostoṅ, aql se kām lo
bāt dil kī karo
kyoṅki…
śher dil ko na taṛpāke rakh de agar
to śhāyrī kā mazā nahīṅ ātā
ki chāṇd sā koī chahrā …
śharbtī āṇkh ke duśhmnoṅ se bacho
reśhmī zulf kī ulajhnoṅ se bacho
vo galī chhoṛ do, ye bharam toṛ do
yūṇ na āheṅ bharo, in se taubā karo
ye jo dildār haiṅ, sab sitamgar haiṅ
dil jo dete haiṇ ye, to jān lete haiṅ ye
vafā ke nām ko āśhiq kabhī rusvā nahīṅ karte
kaṭā dete haiṅ vo sar ko kabhī śhikvā nahīṅ karte
dil machal jāne do, tīr chal jāne do, dam nikal jāne do
aur, maut se ādmī ko agar ḍar lage
to ziṅdgī kā mazā ātā nahīṅ
ki chāṇd sā koī chahrā …
iśhq meṅ yād kuchh aur hotā nahīṅ
āśhiqī khūb kī, dil se mahbūb kī
yād jātī nahīṅ, nīṅd ātī nahīṅ
dard khiltā nahīṅ, chain miltā nahīṅ
yā khudā kyā kareṅ, ham davā kyā kareṅ
davā dard-e-jigar kī pūchhte ho tum dīvāne se
ye dil kī āg bujhegī faqat āṇsū bahāne se
yah sitam kis lie, ġham ho kam kis lie, roeṅ ham kis lie
kyoṅki…
āg par koī pānī agar ḍāl de
to dillgī kā mazā ātā nahīṅ
chāṇd sa koī chahrā …