jab tak hai jāṅ, jān-e-jahāṇ,
maiṅ nāchūṇgī
pyār kabhī bhī martā nahīṅ
maut se bhī ye ḍartā nahīṅ
luṭ jāeṅge miṭ jāeṅge mar jāeṅge ham
zindā rahegī hamārī dāstāṅ
o hāṅ, jab tak hai jāṅ …
ṭūṭ jāe pāyal to kyā
pāṇv ho jāeṅ ghāyal to kyā
dil diyā hai dil liyā hai pyār kiyā hai to
denā paṛegā muhabbat kā imthāṅ
o hāṅ, jab tak hai jāṅ …
ye nazar jhuk saktī nahīṅ
ye zubāṅ ruk saktī nahīṅ
maiṅ kahūṇgī ġham sahūṇgī chup rahūṇgī kyā
bebas hūṇ lekin nahīṅ maiṅ bezubāṅ
o hāṅ, jab tak hai jāṅ …