chalo sahelī, chalo re sāthī
ai pakaṛo-pakaṛo re ise na chhoṛo
are baiṅyā na toड़o
zarā ṭhahar jā bhābhī, are jā re sarābī
kyā o rājā, galī meṅ ājā
holī - holī, bhāṅg kī golī
o nakhre vālī, dūṇgī maiṅ gālī
o rāmū kī sālī, holī re holī
holī ke din dil khil jāte haiṅ
raṅgoṅ meṅ raṅg mil jāte haiṅ
gile śhiqve bhūl ke dostoṅ
duśhman bhī gale mil jāte haiṅ
gorī tere raṅg jaisā, thoṛā sā maiṅ raṅg banā lūṇ
ā tere gulābī gāloṅ se, thoṛā sā gulāl churā lūṇ
jā re jā dīvāne tū, holī ke bahāne tū, chheṛ nā mujhe besram
pūchh le zamāne se, aise hī bahāne se, lie aur die dil jāte haiṅ
holī ke din dil khil jāte haiṅ, raṅgoṅ meṅ …
yahī terī marjī hai to, achchhā chal le tū khuśh ho le
pās ā ke chhūnā nā mujhe, chāhe mujhe dūr se bhigo le
hīre kī kanī hai tū, maṭṭī se banī hai tū, chhūne se ṭūṭ jāegī
kāṇṭoṅ ke chhūne se, phūloṅ se nāzuk - nāzuk badan chhil jāte haiṅ
holī ke din dil khil jāte haiṅ, raṅgoṅ meṅ …