arz hai
davā bhī kām na āe koī duā na lage
mere khudā kisī ko pyār kī havā na lage
ādāb
is dīvāne laṛke ko koī samjhāe
pyār muhabbat se nā jāne kyūṅ ye ghabrāe
dard-e-dil jāne nā
pās maiṅ jitnā āūṅ utnī dūr ye jāe
jāe hāṅ jāe
is dīvāne laṛke ko …
raṅg nā dekhe rūp nā dekhe
ye javānī kī dhūp nā dekhe
arz hai
kuchh majnū bane kuchh rāṅjhā bane
kuchh romeo kuchh farhād hue
is raṅg rūp kī chāhat meṅ jāne kitne barbād hue
vo dekho
iśhq meṅ iske bāṅvrī hūṅ maiṅ
ye bhalā hai to kyā burī hūṅ maiṅ
ye laṛkā hai phir bhī jāne kyūṅ śharmāe
jāne kyūṅ śharmāe hāy śharmāe
is dīvāne laṛke ko …
jāntī hūṅ maiṅ ye taṛaptā hai
pyār meṅ iskā dil dhaṛaktā hai
jise dekho dil kī dhūnī ramātā hai
are ye maṅdir nahīṅ hai śhivālā nahīṅ hai
hasīnoṅ se kah do kahīṅ aur jāe
ye merā dil hai dharamśhālā nahīṅ hai
ye akele meṅ āh bhartā hai
phir bhī kahne se ye kyūṅ ḍartā hai
sach kuchh bhī bole nā jhūṭhī bāt banāe
jhūṭhī bāt banāe hāṅ banāe
is dīvāne laṛke ko …
phūl khilte haiṅ bahāroṅ kā samāṅ hotā hai
aise mausam meṅ hī to pyār javāṅ hotā hai
dil kī bātoṅ ko hoṅṭhoṅ se nahīṅ kahte
ye fasānā to nigāhoṅ se bayāṅ hotā hai