Title (Indic)भीतर-भीतर खाए चलो बाहर शोर् WorkSankalp Year1975 LanguageHindi Credits Role Artist Music Khayyam Performer Mahendra Kapoor Performer Mukesh Writer Kaifi Azmi LyricsHindiमु: भीतर-भीतर खाए चलो बाहर शोर मचाए चलो म: भेद कौन खोलेगा मुँह से कौन बोलेगा दो: भीतर-भीतर खाए … मु: जनता भोली-भाली है पेट भी जेब भी खाली है नारों से गरमा दो लहू वादों से बहलाए चलो दो: भीतर-भीतर खाए … मु: बढ़ती जाए मंहगाई घटती जाए है कमाई म: चीज़ों के दाम बढ़ाए चलो इन्सां का भाव गिराए चलो दो: भीतर-भीतर खाए … म: हाथों में कुछ नोट लो फिर चाहो जितने वोट लो मु: खोटे से खोटा काम करो बापू को नीलाम करो दो: भीतर-भीतर खाए … असरानी: अरे बापू की तस्वीर है ये म: तेरे बाप की क्या जागीर है ये बापू-बापू करते रहो मु: ज़हर दिलों में भरते रहो म: बस्ती-बस्ती आग लगे मु: हर इन्सान इक नाग लगे प्रान्त-प्रान्त को तंग करे म: भाषा से भाषा जंग करे मु: कोई यहाँ मलियाली म: कोई यहाँ बंगाली मु: गुजराती है कोई यहाँ म: पंजाबी है कोई यहाँ मु: कोई है मराठा और वो तमिल म: आपस में यारी है मुश्किल दो: सबको चाहिए अपनी ज़मीं हिन्दुस्तानी कोई नहीं को: हिन्दुस्तानी कोई नहीं -2 मु: देश कहाँ अब देश रहा म: देश कहाँ अब देश रहा मु: देश तो सीमाओं में बंटा म: और भी टुकड़े उड़ाए चलो दो: कुर्सी अपनी बचाए चलो भीतर-भीतर खाए … Englishmu: bhītar-bhītar khāe chalo bāhar śhor machāe chalo ma: bhed kaun kholegā muṇh se kaun bolegā do: bhītar-bhītar khāe … mu: jantā bholī-bhālī hai peṭ bhī jeb bhī khālī hai nāroṅ se garmā do lahū vādoṅ se bahlāe chalo do: bhītar-bhītar khāe … mu: baṛhtī jāe maṅhgāī ghaṭtī jāe hai kamāī ma: chīzoṅ ke dām baṛhāe chalo insāṅ kā bhāv girāe chalo do: bhītar-bhītar khāe … ma: hāthoṅ meṅ kuchh noṭ lo phir chāho jitne voṭ lo mu: khoṭe se khoṭā kām karo bāpū ko nīlām karo do: bhītar-bhītar khāe … asrānī: are bāpū kī tasvīr hai ye ma: tere bāp kī kyā jāgīr hai ye bāpū-bāpū karte raho mu: zahar diloṅ meṅ bharte raho ma: bastī-bastī āg lage mu: har insān ik nāg lage prānt-prānt ko taṅg kare ma: bhāṣhā se bhāṣhā jaṅg kare mu: koī yahāṇ maliyālī ma: koī yahāṇ baṅgālī mu: gujrātī hai koī yahāṇ ma: paṅjābī hai koī yahāṇ mu: koī hai marāṭhā aur vo tamil ma: āpas meṅ yārī hai muśhkil do: sabko chāhie apnī zamīṅ hindustānī koī nahīṅ ko: hindustānī koī nahīṅ -2 mu: deśh kahāṇ ab deśh rahā ma: deśh kahāṇ ab deśh rahā mu: deśh to sīmāoṅ meṅ baṅṭā ma: aur bhī ṭukaṛe uṛāe chalo do: kursī apnī bachāe chalo bhītar-bhītar khāe …