usne kahā tū kaun hai, maiṅne kahā ulfat terī
usne kahā taktā hai kyā, maiṅne kahā sūrat terī
usne kahā chāhtā hai kyā, maiṅne kahā chāhat terī
maiṅne kahā samjhā nahīṅ, usne kahā qismat terī
ek hameṅ āṇkh kī laṛāī mār gaī
dūsrī to yār kī judāī mār gaī
tīsrī hameśhā kī tanhāī mār gaī
chauthī ye khudā kī khudāī mār gaī
bākī kuchh bachā to maṅhgāī mār gaī
1) tabīyat ṭhīk thī aur dil bhī beqrār nā thā
ye tab kī bāt hai jab kisī se pyār nā thā
jab se prīt sapnoṅ meṅ samāī mār gaī
man ke mīṭhe dard kī gahrāī mār gaī
nainoṅ se nainoṅ kī sagāī mār gaī
soch soch meṅ jo soch āī mār gaī,
bākī kuchh bachā …
2) kaise vaqt meṅ ā ke dil ko dil kī lagī bīmārī
maṅhgāī kī daur meṅ ho gaī maṅhgī yār kī yārī
dil kī lagī dil ko jab lagāī mār gaī
dil ne kī jo pyār to duhāī mār gaī
dil kī bāt duniyā ko batāī mār gaī
dil kī bāt dil meṅ jo chhupāī mār gaī,
bākī kuchh bachā …
3) pahle muṭṭhī vich paise lekar
pahle muṭṭhī meṅ paise lekar thailā bhar śhakkar lāte the
ab thaile meṅ paise jāte haiṅ muṭṭhī meṅ śhakkar ātī hai
hāy maṅhgāī maṅhgāī …
duhāī hai duhāī maṅhgāī maṅhgāī …
tū kahāṇ se āī, tujhe kyoṅ maut nā āī, hāy maṅhgāī …
śhakkar meṅ ye āṭe kī milāī mār gaī
pauḍar vāle duddh dī malāī mār gaī
rāśhan vālī lain dī lambāī mār gaī
jantā jo chīkhī chillāī mār gaī,
bākī kuchh bachā …
garīb ko to bachchoṅ kī paṛhāī mār gaī
beṭī kī śhādī aur sagāī mār gaī
kisī ko to roṭī kī kamāī mār gaī
kapaṛe kī kisī ko silāī mār gaī
kisī ko makān kī banvāī mār gaī
jīvan de bas tinn nisān - roṭī kapaṛā aur makān
??? ??? ke har insān
kho baiṭhā hai apnī jān
jo sach sach bolā to sachchāī mār gaī
aur bākī kuchh bachā to maṅhgāī mār gaī …