maiṅ nā bhūlūṇgā, maiṅ nā bhūlūṇgī
in rasmoṅ ko in qasmoṅ ko in riśhte nātoṅ ko
maiṅ nā…
chalo jag ko bhūleṅ, khayāloṅ meṅ jhūleṅ
bahāroṅ meṅ ḍoleṅ, sitāroṅ ko chhūleṅ
ā terī maiṅ māṇg saṅvārūṇ tū dulhan ban jāye
māṇg se jo dulhan kā riśhtā maiṅ nā bhūlūṇgī…
samay kī dhārā meṅ, umar bah jānī hai
jo ghaṛī jī leṅge, vahī rah jānī hai
maiṅ ban jāūṇ sāṇs ākhirī tū jīvan ban jāye
jīvan se sāṇsoṅ kā riśhtā maiṅ nā bhūlūṇgī…
barastā sāvan ho, mahaktā āṇgan ho
kabhī dil dūlhā ho, kabhī dil dulhan ho
gagan bankar jhūmeṅ, pavan bankar jhūmeṅ
chalo ham rāh moṛeṅ, kabhī nā saṅg chhoṛeṅ
taras chakh jānā hai, nazar chakh jānā hai
kahīṅ pe bas jāeṅge, ye din kaṭ jāeṅge
are kyā bāt chalī, vo dekho rāt ḍhalī
ye bāteṅ chaltī raheṅ, ye rāteṅ ḍhaltī raheṅ
maiṅ man ko maṅdir kar ḍālūṇ tū pūjan ban jāye
maṅdir se pūjā kā riśhtā maiṅ nā…