aur nahīṅ bas aur nahīṅ, ġham ke pyāle aur nahīṅ
dil meṅ jagah nahīṅ bākī, rok najar apnī sākī to
aur nahīṅ bas …
1) sapne nahīṅ yahāṇ tere, apne nahīṅ yahāṇ tere
sachchāī kā mol nahīṅ, chup ho jā kuchh bol nahīṅ
pyār prīt chillāegā to, apnā galā gṇvāegā
patthar rakh le sīne par, qasmeṅ khā le jīne par
gaur nahīṅ hai aur nahīṅ, parvānoṅ par gaur nahīṅ
āṇsū āṇsū ḍhalte haiṅ, aṅgāroṅ par chalte haiṅ to
aur nahīṅ bas aur nahīṅ …
2) kitnā paṛhūṇ zamāne ko, kitnā gaṛhūṇ zamāne ko
kaun guṇoṅ ko gintā hai, kaun dukhoṅ ko chuntā hai
hamdardī kāfūr huī, nekī chaknāchūr huī
jī kartā bas kho jāūṇ, kafan oṛhkar so jāūṇ
daur nahīṅ ye aur nahīṅ, insānoṅ kā daur nahīṅ
farz yahāṇ par farzī hai, aslī to khudgarzī hai to
aur nahīṅ bas aur nahīṅ …
3) bīmār ho gaī duniyā, bekār ho gaī duniyā
marne lagī śharam ab to, bikne lage sanam ab to
ye rāt hai nazāroṅ kī, gairoṅ ke sāth yāroṅ kī
jī hai bigāṛ dūṇ sārī, duniyā ujāṛ dūṇ sārī
zor nahīṅ hai zor nahīṅ, dil pe kisī kā zor nahīṅ
koī yād machal jāe, sārā ālam jal jāe to
aur nahīṅ bas aur nahīṅ …