ye hasīn vādiyāṅ, ye khulā āsmāṅ
ā gaye ham kahāṇ ai mere sājnā
in bahāroṅ meṅ dil kī kalī khil gayī
mujh ko tum jo mile har khuśhī mil gayī
tere hoṭhoṅ pe haiṅ, husn kī bijliyāṇ
tere gāloṅ pe haiṅ, julph kī badliyāṇ
tere dāman kī khuśhbū se mahke chaman
saṅgemarmar ke jaisā ye terā badan
merī jān-e-jāṅ, maiṅ terī chāṇdnī
chheṛ lo tum āj koī pyār kī rāginī
ye hasīn vādiyāṅ, ye khulā āsmāṅ
ā gaye ham kahāṇ, ai mere sājnā
ye baṅdhan hai pyār kā, dekho ṭūṭe nā sajnī
ye janmoṅ kā sāth hai, dekho chhūṭe nā sajnā
tere āṇchal kī chhāṇv ke tale merī maṅzil mujhe mil gayī
terī palkoṅ kī chhāṇv ke tale mohabbat mujhe mil gayī
jī kartā hai sājnā, dil meṅ tum ko biṭhā lūṇ
ā mastī kī rāt meṅ, apnā tum ko banā lūṇ
uṭhne lage haiṅ tūphān kyo, mere sīne meṅ ai sanam
tumhe chāhūṇgā dil-o-jān se, merī jān-e-jān terī kasm