pyār ye jāne kaisā hai kyā kaheṅ ye kuchh aisā hai
kabhī dard ye detā hai kabhī chain ye detā hai
kabhī ġham detā hai kabhī khuśhī detā hai
din to guzartā hai jiske khayāloṅ meṅ
rāteṅ guzartī haiṅ us kī hī yādoṅ meṅ
vaqt milan kā āye to bāgoṅ meṅ
jhūmeṅ bhahāreṅ phūloṅ kī galiyoṅ meṅ
bhṇvroṅ kī ṭolī āye
kaliyoṅ pe vo maṇḍlāye
ḍar ye khizāṅ kā bhī dil se miṭāye
ho āṇkhoṅ pe chhāye ye sapnā ban ke to
koī parāyā āye apnā ban ke
chalte-chalte rāhoṅ kī dhūp meṅ
sāthī mil jāye koī sāyā ban ke
maṅzil āye nā āye
yā koī tūfāṇ āye
dilvāloṅ ko ye jīnā sikhāye
%(it teaches hov to live to the brve hearted ones)