hāy rāmā ye kyā huā kyoṅ aise hameṅ satāne lage
tum itnī pyārī ho sāmne ham qābū meṅ kaise raheṅ
jāo hamko to ātī śharm hai
terī aisī adā pe to fidā ham haiṅ
taubā merī taubā ye bhī kyā sitam hai aisī zid karne lage
jāne tumne kyā-kyā sochā āge-āge ham to ab ḍarne lage
are sochā hai ye ki rāt aur din tujhe pyār kareṅge ham
ḍarte ho kyūṇ o jān-e-man mere pyār se
kālī-kālī zulfeṅ gorī-gorī bāṇheṅ mujhko taṛpāne lagīṅ
hoṇṭh bhīge-bhīge naśhīlī ye āṇkheṅ pyās ko jagāne lagīṅ
chhoṛo jī aisī bātoṅ ko roko nā rāhoṅ ko
ho moṛo nā merī bāṇhoṅ ko jāne do nā
%(don'ta tvist my arms, let me go)