ik hasīnā thī, ik dīvānā thā
kyā umar, kyā samā, kyā zamānā thā …
ek din vo mile, roz milne lage
phir muhabbat huī, bas qayāmat huī
kho gaye tum kahāṇ, sun ke ye dāstāṇ
log hairān haiṅ, kyoṅ kī anjān haiṅ
iśhq kī vo galī, bāt jiskī chalī
us galī meṅ merā ānā, jānā thā
ik hasīnā thī, ik dīvānā thā …
us hasīn ne kahā, suno jān-e-vafā
ye falaq ye zamīṅ, tere bin kuchh nahīṅ
tujhpe martī hūṇ maiṅ, pyār kartī hūṇ maiṅ
bāt kuchh aur thī, vo nazar chor thī
uske dil meṅ chhupī, chāhat aur garzī thī
pyār kā, to faqat, ik bahānā thā
ik hasīnā thī, ik dīvānā thā …
bevafā yār ne, apne mahbūb se
aisā dhokhā kiyā
- dhokhā, dhokhā, dhokhā, dhokhā -
aisā dhokhā kiyā, zahar usko diyā
mar gayā, vo javāṇ
ab suno dāstāṇ
janm le kar kahīṅ, phir vo pahuṅchā vahīṅ
śhaql anjān kī, aqal hairān kī
sāmnā jab huā, phir vahī sab huā
uskā ye farz thā, uspe ye qarz thā
farz ko, qarZ apnā, nibhānā thā
ik hasīnā thī, ik dīvānā thā …