Title (Indic)ये दिल नहीं कि जिसके सहारे जीते हैं WorkAabroo Year1968 LanguageHindi Credits Role Artist Music Sonik Omi Performer Mohammad Rafi Writer G S Rawal LyricsHindiये दिल नहीं कि जिसके सहारे जीते हैं लहू का जाम है जो सुबह-ओ-शाम पीते हैं ये दिल नहीं है … छुपाया लाख मगर इश्क़ नहीं छुपता यूँ अश्क़ आँख में आया हुआ नहीं रुकता कि आग लगती है जब आँसुओं को पीते हैं लहू का जाम है … तड़प-तड़प के निकालेंगे दिल के अरमाँ हम करेंगे रंज से पैदा ख़ुशी के समाँ हम कि ग़मों की नोक से दिल के ज़ख़्म सीते हैं लहू का जाम है … कभी क़रार न आएगा हमको जीने से इलाज ज़हर का होता है ज़हर पीने से कि सर पे मौत का साया है फिर भी जीते हैं लहू का जाम है … Englishye dil nahīṅ ki jiske sahāre jīte haiṅ lahū kā jām hai jo subah-o-śhām pīte haiṅ ye dil nahīṅ hai … chhupāyā lākh magar iśhq nahīṅ chhuptā yūṇ aśhq āṇkh meṅ āyā huā nahīṅ ruktā ki āg lagtī hai jab āṇsuoṅ ko pīte haiṅ lahū kā jām hai … taṛap-taṛap ke nikāleṅge dil ke armāṇ ham kareṅge raṅj se paidā khuśhī ke samāṇ ham ki ġhamoṅ kī nok se dil ke zakhm sīte haiṅ lahū kā jām hai … kabhī qarār na āegā hamko jīne se ilāj zahar kā hotā hai zahar pīne se ki sar pe maut kā sāyā hai phir bhī jīte haiṅ lahū kā jām hai …