lāgī manvā ke bīch kaṭārī
ki mārā gayā brahmchārī, hāy
kaisī zulmī banāyī taine nārī
ki mārā gayā brahmchārī
aisā ghuṇghrū pāyliyā kā chhankā
morī mālā meṅ aṭak gayā mankā
maiṅ to bhūl prbhū,
maiṅ to bhūl prbhū sudh-budh sārī
ki mārā gayā brahmchārī …
koī chaṅchal koī matvālī hai
koī naṭkhaṭ, koī bholī-bhālī hai
kabhī dekhī na thī, hāy
kabhī dekhī na thī aisī phulvārī
ki mārā gayā brahmchārī …
baṛī jatnoṅ sādh banāyī thī
merī barsoṅ kī puṇy kamāyī thī
taine pal meṅ, hāy,
taine pal meṅ bhasam kar ḍārī
ki mārā gayā brahmchārī …
mohe bāvlā banā gayī va kī batiyāṇ
mose kaṭtī nahīṅ haiṅ ab ratiyāṇ
paṛī sar pe, hāy
paṛī sar pe bipat atī bhārī
ki mārā gayā brahmchāri...
mohe un bin kachhū na suhāye re
more akhiyoṅ ke āge lahrāye re
gore mukhaṛe pe, hāy!
gore mukhaṛe pe laṭ kārī-kārī
ki mārā gayā brahmchārī …