ālī rī, roko nā koī, karne do mujhko manmānī
āj mere ghar āye vo prītam jinke liye sab nagrī chhānī
āj koī bṇdhan nā bhāye, āj hai khul khelan kī ṭhānī
e rī jāne na dūṇgī, e rī jāne na dūṇgī
maiṅ to apne rasik ko nainoṅ meṅ rakh lūṇgi
palkeṅ mūṇd mūṇd, e rī jāne na dūṇgī …
alkoṅ meṅ kuṅḍal ḍālo aur deh sugaṅdh rachāo
jo dekhe mohit ho jāye aisā rūp sajāo
āj sakhī, dha pa ma re pa,
ma pa dha ni dha, pa dha pa pa sā dha,
re sā dha, pa re,
ā'', āj sakhī pī ḍālūṇgī
maiṅ darśhan-jal kī būṇd būṇd, e rī jāne na dūṇgī …
madhur milan kī durlabh belā yūṇ hī bīt na jāye
aisī rain jo vyarth gavāye, jīvan bhar pachhtāye
sej sajāo, dha pa ma re pa,
ma pa dha ni dha, pa dha pa pa sā dha,
re sā dha, pa re,
ā'', sej sajāo mere sājan kī
le āo kaliyāṇ gūṇd gūṇd
e rī jāne na dūṇgī …