āśhā: chhā gaye bādal nīl gagan par
ghul gayā kajrā sāṇjh ḍhale
āśhā: dekh ke merā man bechain
rain se pahle ho gaii rain
āj hriday ke svpan phale
ghul gayā kajrā sāṇjh ḍhale
rafī: rūp kī saṅgat aur ekānt
āj bhaṭaktā man hai śhānt
kah do samay se tham ke chale
ghul gayā kajrā sāṇjh ḍhale
rafī: chhā gaye bādal nīl gagan par
ghul gayā kajrā sāṇjh ḍhale
āśhā: aṅdhiyāroṅ kī chādar tān
ek hoṅge do vyākul prāṇ
āj na koī dīp jale
ghul gayā kajrā sāṇjh ḍhale
dono: chhā gaye bādal nīl gagan par
ghul gayā kajrā sāṇjh ḍhale