jab maiṅ kahtī hūṇ, ke ek roz huzūr āyeṅge
to dil ye kahtā hai, kī ek din to zarūr āyeṅge
iṅtazār aur abhī,aur abhī,aur abhī -2
iṅtazār aur
sāṇjh kī lālī, sulag sulag kar ban gaii kālī dhūl
āye nā bālam bedardī, maiṅ chuntī rah gaii phūl
iṅtazār aur abhī, aur abhī, aur abhī -2
iṅtazār aur
rain bhaii, vo ? aṇkhiyāṅ meṅ chubhne lage tāre
des meṅ maiṅ pardesan ho gaii, jab se piyā sidhāre
jab se piyā sidhāre
iṅtazār aur abhī, aur abhī, aur abhī -2
iṅtazār aur
bhor bhaii, par koī nā āyā, sūnī sej basāne
tāre ḍūbe, dīpak bujh gaye -2
rākh hue parvāne
iṅtazār aur abhī, aur abhī, aur abhī -2
iṅtazār aur