koī māne na māne
koī māne na māne, magar, jāneman
kuchh tumheṅ chāhiye kuchh hameṅ chāhiye -2
koī māne na māne magar jāneman -
kuchh tumheṅ chāhiye kuchh hameṅ chāhiye
kuchh tumheṅ chāhiye
tumko - naġhmoṅ kī aṅgaṛāiyāṇ chāhiye
hamko sikkoṅ kī parchhāiyāṇ chāhiye -2
tumko rāteṅ bitāne kā fan chāhiye
hamko din kāṭne kā jatan chāhiye
tumko tan chāhiye - hamko jāṇ chāhiye
kuchh na kuchh sab ko ai meharbāṇ chāhiye -2
koī māne …
dil vāle haiṅ kaī to kaī jān vāle haiṅ
kahte haiṅ martā hūṇ jān detā hūṇ
e jī pahchānte haiṅ sab ko jo pahchān vāle hain
ye dharam vāle aur vo īmān vāle hain
sab ek ghāṭ ek hī armān vāle haiṅ
vāṇ haq hai āṇsū aur baṛe chāl vāle haiṅ (??)
e jī ham husn bechte haiṅ ke dūkān vāle haiṅ
koī māne na māne …
koī dil koī chāh se majbūr hai
jo bhī hai vo zarūrat se majbūr hai
koī māne na māne magar jāneman …
chhupte sab se ho kyoṅ - sāmne āo jī
ham tumhāre haiṅ hamse na śharmāo jī -2
ye na samjho ke hamko khabar kuchh nahīṅ - ye nā samjho
sab idhar hī idhar hai udhar kuchh nahīṅ - ye nā samjho
tum bhī bechain ho, ham bhī betāb haiṅ
jab se āṇkheṅ milīṅ donoṅ bekhāb haiṅ -2
koī māne na māne …
iśhq aur muśhq chhupte nahīṅ haiṅ kabhī
is haqīqat se vāqif haiṅ ham tum sabhī
ke apne dil kī lagī ko chhupāte ho kyoṅ -2
ye mohabbat kī ghaṛiyāṇ gṇvāte ho kyoṅ -2
pyās bujhtī nahīṅ hai nazāre binā
umr kaṭtī nahīṅ hai sahāre binā -2
koī māne na māne …