ra: āṇkhoṅ pe bharosā mat kar duniyā jādū kā khel hai
har chīz yahāṇ ek dhokhā har bāt yahāṇ bemel hai
gī: o matvāle hṇs le gā le le jīne kā mazā
is duniyā kī bhīṛ meṅ tū bhī merī tarah tanhā ban jā
ra: āṇkhoṅ pe bharosā …
ra: kahne ko to sab kahte haiṅ is bāt meṅ kyā rakhā hai
par yah to koī batlāe kyā jhūṭhā hai kyā sachchā hai
gī: ham dīvāne bas yah jāne jo kuchh hai so achchhā hai
ra: āṇkhoṅ pe bharosā …
ra: is rāh ke ham sab rāhī pahchān hai ye pal bhar kī
kal ko judā kar degī hamko lahar is jīvan kī
gī: jīne vāle jī bahlā le kal socheṅge phir kal kī
ra: āṇkhoṅ pe bharosā …