āo bachchoṅ tumheṅ dikhāeṅ jhāṇkī hiṅdustān kī
is miṭṭī se tilak karo ye dhartī hai balidān kī
vaṅde mātaram …
uttar meṅ rakhvālī kartā parvatrāj virāṭ hai
dakśhiṇ meṅ charṇoṅ ko dhotā sāgar kā samrāṭ hai
jamunā jī ke taṭ ko dekho gaṅgā kā ye ghāṭ hai
bāṭ-bāṭ pe hāṭ-hāṭ meṅ yahāṇ nirālā ṭhāṭh hai
dekho ye tasvīreṅ apne gaurav kī abhimān kī,
is miṭṭī se …
ye hai apnā rājpūtānā nāz ise talvāroṅ pe
isne sārā jīvan kāṭā barchhī tīr kaṭāroṅ pe
ye prtāp kā vatan palā hai āzādī ke nāroṅ pe
kūd paṛī thī yahāṇ hazāroṅ padminiyāṇ aṅgāroṅ pe
bol rahī hai kaṇ kaṇ se kurbānī rājasthān kī
dekho mulk marāṭhoṅ kā ye yahāṇ śhivājī ḍolā thā
muġhloṅ kī tākat ko jisne talvāroṅ pe tolā thā
har pāvat pe āg lagī thī har patthar ek śholā thā
bolī har-har mahādev kī bachchā-bachchā bolā thā
yahāṇ śhivājī ne rakhī thī lāj hamārī śhān kī
is miṭṭī se …
jaliyāṇ vālā bāg ye dekho yahāṇ chalī thī goliyāṇ
ye mat pūchho kisne khelī yahāṇ khūn kī holiyāṇ
ek taraf baṅdūkeṅ dan dan ek taraf thī ṭoliyāṇ
marnevāle bol rahe the inaqlāb kī boliyāṇ
yahāṇ lagā dī bahnoṅ ne bhī bājī apnī jān kī
is miṭṭī se …
ye dekho baṅgāl yahāṇ kā har chappā hariyālā hai
yahāṇ kā bachchā-bachchā apne deśh pe marnevālā hai
ḍhālā hai isko bijlī ne bhūchāloṅ ne pālā hai
muṭṭhī meṅ tūfān baṅdhā hai aur prāṇ meṅ jvālā hai
janmbhūmi hai yahī hamāre vīr subhāṣh mahān kī
is miṭṭī se …