sāthī hāth baṛhānā, sāthī hāth baṛhānā
ek akelā thak jāegā, milkar bojh uṭhānā
ham mehnat vāloṅ ne jab bhī, milkar kadam baṛhāyā
sāgar ne rastā chhoṛā, parbat ne sīs jhukāyā
phaulādī haiṅ sīne apne, phaulādī haiṅ bāheṅ
ham chāhe to paidā kar de chaṭṭānoṅ meṅ rāheṅ
mehnat apne lekh kī rekhā, mehnat se kyā ḍarnā
kal gairoṅ kī khātir kī, āj apnī khātir karnā
apnā sukh bhī ek hai sāthī apnā duḥakh bhī ek
apnī maṅzil sach kī maṅzil, apnā rastā nek
ek se ek mile to katrā ban jātā hai dariyā
ek se ek mile to jarrā ban jātā hai sehrā
ek se ek mile to rāī ban saktī hai parbat
ek se ek mile to insāṅ bas meṅ kar le kismt