kaun disā meṅ leke chalā re baṭuhiyā - (3)
ṭhahar ṭhahar, ye suhānī sī ḍagar
zarā dekhan de, dekhan de
man bharmāye naynā bāṇdhe ye ḍagriyā - (2)
kahīṅ gae jo ṭhahar, din jāyegā guzar
gāḍī hāṇkan de, hāṇkan de, kaun disā…
pahlī bār ham nikle haiṅ ghar se, kisī aṅjāne ke saṅg ho
aṅjānā se pahchān baṛhegī to mahak uṭhegā torā aṅg ho
mahak se tū kahīṅ bahak na jānā - (2)
na karnā mohe taṅg ho, taṅg karne kā tose nātā hai guzriyā - (2)
he, ṭhahar ṭhahar, ye suhānī sī ḍagar
zarā dekhan de, dekhan de, kaun disā…
kitnī dūr abhī kitnī dūr hai, ai chaṅdan torā gāṇv ho
kitnā apnā lagne lage jab koī bulāye nām ho
nām na leto kyā kahke bulāyeṅ - (2)
kaise karāyeṅ kām ho, sāthī mitvā yā anāṛī kaho goriyā - (2)
kahīṅ gaye jo ṭhahar, din jāyegā guzar
gāṛī hāṇkan de, hāṇkan de, kaun disā…
ai guṅjā, us din terī sakhiyāṇ, kartī thīṅ kyā bāt ho?
kahtīṅ thīṅ tore sāth chalan ko to, āge ham tore sāth ho
sāth adhūrā tab tak jab tak - (2)
pūre nā ho fere sāth ho, ab hī to hamārī hai bālī re umriyā - (2)
ṭhahar ṭhahar, ye suhānī sī ḍagar
zarā dekhan de, dekhan de, kaun disā…