jogī jī dhīre dhīre, jogījī vāh jogījī
nadī ke tīre tīre, jogījī vāh jogījī
jogī jī koī ḍhūṇḍhe mūṇgā koī ḍhūṇḍhe motiyā
ham ḍhūṇḍhe apnī jogniyā ko,
jogī jī ḍhūṇḍh ke lā do, jogījī vāh jogījī
milā do hameṅ milā do, jogījī vāh jogījī
1) phāgun āyo o mastī lāyo
bharke māre pichkārī arā ra ra ra ra rā
raṅg leke o jaṅg leke
māre (?) jogī rāteṅ jāgī sārī arā rararar rā
jogī jī nīṅd nā āve, jogījī vāh jogījī
sajan kī yād satāve, jogījī vāh jogījī
jogī jī prem kā rog lagā hamko koī iskī davā jaldī ho to kaho
burī hai ye bīmārī, jogījī vāh jogījī
lage hai duniyā khārī, jogījī vāh jogījī
2) sāre gāṇv kī goriyāṇ raṅg gaī hampe ḍār
par jiske raṅg ham raṅge chhup gaī vo gulnār
chhup gaīṅ vo gulnār jogījī sūnā hai sṇsār
binā use raṅg lagāe, jogī jī vah jogī jī
ye phāgun lauṭ nā jāe, jogī jī vāh jogī jī
jogī jī koī ḍhūṇḍhe …
jogī jī ḍhūṇḍh ke lā do
milā do hameṅ milā do
3) chhupte ḍole rādhikā ḍhūṇḍh sake ghanaśhyām
kānhā bole lāj kā āj ke din kyā kām
lāj kā hai kyā kām ke holī khele sārā gāṇv
raṅgī hai kab se rādhā
milan meṅ phir kyoṅ bādhā
jogī jī prem kā rog lagā hamko