Title (Indic)प्यार की दुनिया लुटेगी हमें मालूम न था WorkMehndi Year1958 LanguageHindi Credits Role Artist Music Ravi Performer Lata Mangeshkar Writer Khumar Barabankwi LyricsHindiप्यार की दुनिया लुटेगी हमें मालूम न था दिल की दिल ही में रहेगी हमें मालूम न था हम तो समझे थे अँधेरा न कभी छाएगा शमा जलते ही बुझेगी हमें मालूम न था क्या क़यामत है कि डूबे तो किनारे होकर उनकी नज़रों से गिरे जान से प्यारे होकर क्या ख़बर थी वो दाग़ देंगे हमारे होकर बेबसी हमपे हँसेगी हमें मालूम न था उनको पाया था अदा उनकी क़सम मर-मर के कर सके प्यार की बातें न मगर जी भर के फिर गए हमसे वे इकरार-ए-मोहब्बत कर के ये सज़ा हमको मिलेगी हमें मालूम न था Englishpyār kī duniyā luṭegī hameṅ mālūm na thā dil kī dil hī meṅ rahegī hameṅ mālūm na thā ham to samjhe the aṇdherā na kabhī chhāegā śhamā jalte hī bujhegī hameṅ mālūm na thā kyā qayāmat hai ki ḍūbe to kināre hokar unkī nazroṅ se gire jān se pyāre hokar kyā khabar thī vo dāġh deṅge hamāre hokar bebsī hampe hṇsegī hameṅ mālūm na thā unko pāyā thā adā unkī qasam mar-mar ke kar sake pyār kī bāteṅ na magar jī bhar ke phir gae hamse ve ikrār-e-mohabbat kar ke ye sazā hamko milegī hameṅ mālūm na thā