he: musībat kā kiye jā sāmnā
kāṇṭoṅ pe chaltā jā
agar maṅzil pe jānā hai
to gir gir ke saṅbhaltā jā
he: (bedard zamānā terā duśhman hai to kyā hai
duniyā meṅ nahīṅ jiskā koī uskā khudā hai) - 2
(mālik hai vahī sab se baṛā pālnevālā) -2
chuṇṭī ko bhī detā hai jo khāne ko nivālā
bandoṅ pe hameśhā hī karam uskā rahā hai
duniyā meṅ nahīṅ jiskā koī uskā khudā hai …
he: hazāroṅ kārvāṇ luṭe gae maṅzil kī rāhoṅ meṅ
jo ġham kā sāmnā kartā gayā maṅzil pe vo pahuṇchā
he: (bedard zamānā terā duśhman hai to kyā hai
duniyā meṅ nahīṅ jiskā koī uskā khudā hai) - 2
la: ye kaisī khudāī hai bolo kaisā khudā hai
luṭtī huī duniyā jo merī dekh rahā hai
maiṅ kaise bhalā mānūṇ ke duniyā meṅ khudā hai
agar hai to kahāṇ hai
he: izazat bhī bachī jān bachī kaise ye bolo
vo kaun sī tāqat thī zarā dil ko ṭaṭolo
hai jiskā karam ham pe usī se ye gilā hai
duniyā meṅ nahīṅ jiskā koī uskā khudā hai …
he: (kuchh kam nahīṅ apne liye jīne ke sahāre) - 2
īmān kī daulat hai abhī pās hamāre
ye aisā sahārā hai jo har śhah se baṛā hai
duniyā meṅ nahīṅ jiskā koī uskā khudā hai …
do: (bedard zamānā terā duśhman hai to kyā hai
duniyā meṅ nahīṅ jiskā koī uskā khudā hai) - 2