ai duniyā batā hamne bigāṛā hai kyā terā
( ghar-ghar meṅ dīvālī hai
mere ghar meṅ andherā
mere ghar meṅ andherā ) -2
bachapan meṅ chhoṛ ke
mere bābul chale gaye
bahnā chalī gaī
mere sājan chale gaye -2
kismat kī ṭhokroṅ ne
kiyā hāl kyā merā -2
ghar-ghar meṅ dīvālī hai
mere ghar meṅ andherā
hamne to fakīroṅ se
sunī thī ye kahānī
qismat kī lakīroṅ se
bṇdhī duniyā dīvānī
do ghar ke bīch meṅ bhī hai
dīvār kā gherā
ghar-ghar meṅ dīvālī hai
mere ghar meṅ andherā
chāroṅ taraf lagā huā
mīnā-bazār hai
dhan kī jahāṇ pe jīt
ġharīboṅ kī hār hai
insāniyat ke bhes meṅ
phirtā hai luṭerā
jī chāhtā sansār meṅ
maiṅ āg lagā dūṇ
soye huye insān kī
qismat ko jagā dūṇ
ṭhokar se uṛā dūṇ maiṅ
dayā-dharm kā ḍerā
ab kisko sunāuṇ maiṅ
merā ġham kā tarānā
patthar ke diloṅ ne merā
dukh-dard nā jānā
mere jigar ke ṭukaṛoṅ
ko kisne bikherā
uf kisne bikherā
ghar-ghar meṅ dīvālī hai
mere ghar meṅ andherā -2
ghar-ghar meṅ dīvālī hai mere
chhoṭī sī merī bintī
suno ai more rājā -2
o suno ai more rājā
ek bār mere pyār ke
panghaṭ pe to ājā
o panghaṭ pe to ājā
ai more rājā
tere binā śhamśhān hai
bulbul kā baserā
ghar-ghar meṅ dīvālī hai
mere ghar meṅ andherā -2
ai duniyā batā -2
ai duniyā batā hamne
bigāṛā hai kyā terā
( ghar-ghar meṅ dīvālī hai
mere ghar meṅ andherā
mere ghar meṅ andherā ) -2
( bachapan meṅ chhoṛ ke
mere bābul chale gaye ) -2
bahnā chalī gaī
mere sājan chale gaye -2
qismat kī ṭhokroṅ ne
kiyā hāl kyā merā -2
ghar-ghar meṅ dīvālī hai
mere ghar meṅ andherā -2
( maiṅ jisko ḍhūṇḍhtī hūṇ
andhiyārī rāt meṅ
phūṭe huye nasīb kā
dīpak le hāth meṅ ) -2
rote hī rote hāy -2
ho jāyegā saverā
ghar-ghar meṅ dīvālī hai
mere ghar meṅ andherā -2
( hamne to fakīroṅ se
sunī thī ye kahānī
qismat kī lakīroṅ se
bṇdhī duniyā dīvānī ) -2
( do ghar ke bīch meṅ bhī
hai dīvār kā gherā ) -2
( ghar-ghar meṅ dīvālī hai
mere ghar meṅ andherā
mere ghar meṅ andherā ) -2
chāroṅ taraf lagā huā
mīnā-bazār hai
dhan kī jahāṇ pe jīt
ġharīboṅ kī hār hai
insāniyat ke bhes meṅ
phirtā hai luṭerā
jī chāhtā sansār meṅ
maiṅ āg lagā dūṇ
soye huye insān kī
qismat ko jagā dūṇ
ṭhokar se uṛā dūṇ maiṅ
dayā-dharm kā ḍerā
( ab kisko sunāuṇ maiṅ
apnā ġham kā tarānā
patthar ke diloṅ ne merā
dukh-dard nā jānā ) -2
mere jigar ke ṭukaṛoṅ ko
kisne bikherā
uf kisne bikherā
ghar-ghar meṅ dīvālī hai
mere ghar meṅ andherā -2
ghar-ghar meṅ dīvālī hai mere
chhoṭī sī merī bintī
suno ai more rājā -2
o suno ai more rājā
ek bār mere pyār ke
panghaṭ pe tū ājā
o panghaṭ pe tū ājā
ai more rājā
( tere binā śhamśhān hai
bulbul kā baserā ) -2
( ghar-ghar meṅ dīvālī hai
mere ghar meṅ andherā
mere ghar meṅ andherā ) -2