yahāṇ har kadam kadam pe dhartī badle raṅg
yahāṇ kī bolī meṅ raṅgolī sāt raṅg
dhānī pagaṛī pahne mausam hai
nīlī chādar tāne aṅbar hai
nadī sunahrī harā samuṅdar hai re sajīlā
des raṅgīlā raṅgīlā, des merā raṅgīlā
siṅdūrī gāloṅvālā sūraj jo kare ṭhiṭholī
śharmīleṅ khetoṅ ko ḍhak de chunar pīlī pīlī
ghūṇghaṭ meṅ raṅg panghaṭ meṅ raṅg cham cham chamkīlā
des raṅgīlā raṅgīlā, des merā raṅgīlā
abīr gulāl se chehre haiṅ yahāṇ mastānoṅ kī ṭolī
raṅg hasīn meṅ raṅg khuśhī meṅ riśhteṅ jaise holī
bātoṅ meṅ raṅg yādoṅ meṅ raṅg raṅg raṅg raṅgīlā
des raṅgīlā raṅgīlā des merā raṅgīlā
iśhq kā raṅg yahāṇ par gahrā, chaṛh ke kabhī nā utre
sachche pyār kā ṭhahrā sā raṅg chhalke par nā bikhre
raṅg adā meṅ raṅg hayā meṅ hai ye rasīlā
des raṅgīlā raṅgīlā des merā raṅgīlā