tujhko āj batānā hogā
kyā thī vo majbūrī
sāth umr bhar kā denā thā
de dī umr bhar kī dūrī
kitne aṭal the tere irāde
yād to kar tū vafā ke vāde
tūne kahā thā, khākar qasmeṅ
sadā nibhāyeṅge pyār kī rasmeṅ
tū auroṅ kī kyoṅ ho gayī
tū hamārī thī, jān se pyārī thī
tere liye maiṅ ne duniyā sṇvārī thī
tū auroṅ kī kyoṅ ho gayī …
pyār kī mastī tūne na chāhī
tūne to chāhā chāṇdī kā pyālā
āṇsū kisī ke kyā tū pahantī
tujhko pahannī thī motī kī mālā
ho, tujhko pahannī thī motī kī mālā
pag pag par vi{śha}vās ke badle
chhalā karegī tujhko śhaṅkā
āg ke lapṭoṅ meṅ lipṭī hai
ye terī sone kī laṅkā
tū auroṅ kī kyoṅ ho gayī …
kyā ye tere sukh ke sādhan
merī yād ko bhulā sakeṅge
merī yād jab nīṅd uṛā degī
kyā ye tujhko sulā sakeṅge
ho, kyā ye tujhko sulā sakeṅge
sādhan meṅ sukh hotā nahīṅ hai
sukh jīvan kī ek kalā hai
mujhse hī chhal kiyā na tūne
apne ko tūne āp chhalā hai
tū auroṅ kī kyoṅ ho gayī …
tere liye maiṅ lāyā bahāreṅ
tere liye maiṅ jān pe khelā
do din bhī tūne rāh na dekhī
chhoṛ ke chal dī mujhe akelā
ho, chhoṛ ke chal dī mujhe akelā
terī judāī merī chitā hai
ġham ki chitā meṅ maiṅ jal rahā hūṇ
man merā dahke marghaṭ jaisā
aṅgāroṅ pe maiṅ chal rahā hūṇ
tū auroṅ kī kyoṅ ho gayī …
tū hamārī thī, jān se pyārī thī
tere liye maiṅ ne duniyā sṇvārī thī
tū auroṅ kī kyoṅ ho gayī …