tujh ko āj batānā hogā, kyā thī vo majbūrī
sāth umrbhar kā denā thā, de dī umrbhar kī dūrī
kitne aṭal the tere irāde, yād to kar tū vafā ke vāde
tū ne kahā thā khākar kasmeṅ, sadā nibhāyeṅge pyār kī rasmeṅ
tū auroṅ kī kyoṅ ho gayī ?
tū hamārī thī, jān se pyārī thī
tere lie maine duniyā sṇvārī thī
tū auroṅ kī kyoṅ ho gayī ?
pyār kī mastī tū ne nā chāhī, tū ne to chāhā chāṇdī kā pyālā
āṇsū kisī ke kyā tū pahantī, tujh ko pahantī thī motī kī mālā
pag pag par viśhvās ke badle, chhalā karegī tujh ko śhaṅkā
āg kī lapṭoṅ meṅ lipṭī hai ye terī sone kī laṅkā
tū auroṅ kī kyoṅ ho gayī ?
kyā ye tere sukh ke sādhan merī yād ko bhulā sakeṅge
merī yād jab nīṅd uṛā degī, kyā ye tujh ko sulā sakeṅge
sādhan meṅ sukh hotā nahīṅ hai, sukh jīvan kī ek kalā hai
mujh se hī chhal kiyā nā tū ne, apne ko tū ne āp chhalā hai
tū auroṅ kī kyoṅ ho gayī ?
tere lie maiṅ lāyā bahāreṅ, tere lie maiṅ jān pe khelā
do din tū ne hī rāh nā dekhī, chhoṛ ke chal dī mujhe akelā
terī judāī merī chītā hai, ġham kī chītā meṅ maiṅ jal rahā hūṇ
man merā dahke marghaṭ jaisā, aṅgāroṅ pe maiṅ chal rahā hūṇ
tū auroṅ kī kyoṅ ho gayī ?