jūhī kī kalī merī lāḍlī
nāzoṅ kī palī merī lāḍlī
o ās-kiran jug-jug tū jīe
nanhī sī parī merī lāḍlī, o merī lāḍlī
dhartī pe utar āyā chṇdā terā chahrā banā
champī kā salaunā guldastā tan terā banā, o merī lāḍlī
komal titlī merī lāḍlī
hīre kī kanī merī lāḍlī, o ās-kiran jug-jug…
śharmāe dīvālī tāroṅ kī tere nainoṅ se
koyal ne churāī hai paṅcham tere bainoṅ se, o merī lāḍlī
guṛiyā sī ḍhalī merī lāḍlī
mohe lāge bhalī merī lāḍlī, o ās-kiran jug-jug…
har bol terā sikhlāe hameṅ dukh se laṛnā
muskān terī kahtī hai sadā dhīraj dharnā, o merī lāḍlī
gaṅgā kī lahar merī lāḍlī
chaṅchal sāgar merī lāḍlī, o ās-kiran jug-jug…