ham tere pyār meṅ sārā ālam kho baiṭhe haiṅ, kho baiṭhe
tum kahte ho ke aise pyār ko bhūl jāo, bhūl jāo
paṅchhī se chhuṛākar uskā ghar, tum apne ghar par le āye
ye pyār kā piṅjrā man bhāyā, ham jī bhar bhar kar muskāye
jab pyār huā is piṅjaṛe se, tum kahne lage āzād raho
ham kaise bhulāye pyār terā, tum apnī zubān se ye nā kaho
ab tumsā jahāṅ meṅ koī nahīṅ hai, ham to tumhāre ho baiṭhe
tum kahte ho ke aise pyār ko bhūl jāo, bhūl jāo
is tere charaṇ kī dhūl se hamne apnī jīvan māṇg bharī
jab hī to suhāgan kahlāyī, duniyā kī nazar meṅ pyār banī
tum pyār kī suṅdar mūrat ho aur pyār hamārī pūjā hai
ab in charṇoṅ meṅ dam nikle, bas itnī aur tamannā hai
ham pyār ke gaṅgājal se balam jī tanaman apnā dho baiṭhe
tum kahte ho ke aise pyār ko bhūl jāo, bhūl jāo
sapnoṅ kā darpan dekhā thā, sapnoṅ kā darpan toṛ diyā
ye pyār kā āṇchal hamne to dāman se tumhāre bāṇdh liyā
ye aisī gāṇṭh hai ulफ़t kī, jis ko nā koī bhī khol sakā
tum ān base jab is dil meṅ, dil phir to kahīṅ nā ḍol sakā
o pyār ke sāgar ham terī lahroṅ meṅ nāv ḍūbo baiṭhe
tum kahte ho ke aise pyār ko bhūl jāo, bhūl jāo