ham tere pyār meṅ sārā ālam kho baiṭhe
tum kahte ho ki aise pyār ko bhūl jāo, bhūl jāo
ham tere pyār meṅ sārā ālam …
paṅchī se chhuṛākar apnā ghar, tum apne ghar meṅ le āye
ye pyār kā piṅajrā man bhāyā, ham bhar bhar ke muskāye
jab pyār huā is piṅjre se, tum kahne lage āzād raho
ham kaise bhulāyeṅ pyār terā, tum apnī zubāṇ se ye na kaho
ik pyār kā ... dekhā thā, ik pyār kā ... toṛ diyā
hamne to ..., ab ... ... joṛ diyā
is pyār ke gaṅgā jal meṅ balam jī ham tan man apnā dho baiṭhe
tum kahte ho ki aise pyār ko bhūl jāo, bhūl jāo …
jab hī to suhāgan kahlāyī, duniyā ke nazar meṅ pyār banī
tum pyār kī sundar mūrat ho, aur pyār hamārī pūjā hai
ab in charṇoṅ meṅ dam nikle, bas itnī aur tamannā hai
o pyār ke sāgar ham terī lahroṅ meṅ nāv ḍubo baiṭhe
tum kahte ho ki aise pyār ko bhūl jāo, bhūl jāo …