saiṅyā jī se chhip ke huī kyā terī bāt batā de beliyā
āṇkh jhuk jāegī o
mujhko śharm āegī o
aise kaise batā dūṅ huā kyā mere sāth
hūṇ sun to beliyā
hai kasam tujhko tū hamse kuchh nā chhipā
kaise bikhrā ye jūṛe kā gajrā batā
batā nā batā nā
mere gajre meṅ baiṭhā thā bhaṅvrā sakhī
maiṅ jo hāthoṅ se usko uṛāne chalī
ḍor nāzuk thī oe oe
ḍor nāzuk thī chhūte hī ṭūṭ gaī
chhūṭ ke aise gajre se bikhrī kalī oe oe
saiṅyā jī se chhip ke …
tere hoṅṭhoṅ pe dāṅtoṅ ke haiṅ kyoṅ niśhāṅ
yūṅ lage nākhūn tujhko kaise kahāṅ
batā nā batā nā
rāste meṅ mujhe ek totā milā
dekhte hī use merā man jo khilā
pyāre tote ko maiṅ sahlāne gaī
choṅch hoṅṭhoṅ pe vo mār ke uṛ gayā oe oe
saiṅyā jī se chhip ke …
pūchhtī haiṅ terī kālī uljhī laṭeṅ
terī cholī meṅ kaise paṛīṅ salavṭeṅ
batā nā batā nā
dard dil meṅ uṭhā thā koī ajanbī
bekrārī huī maiṅ taṛapne lagī
pīṛā mujhse sahī na gaī jab sakhī
apne hāthoṅ se dil ko dabāne lagī oe oe
kuchh samajh meṅ na āe hai ye mājrā
tūne pahnā hai kyūṅ ulṭā ye ghāghrā
batā nā batā nā
pakaṛī gaī ho pakaṛī gaī
pakaṛī gaī dekho pakaṛī gaī
āo āo yahāṅ sab batāūṅgā maiṅ
bhed tumse nā koī chhipāūṅgā maiṅ
mainā tote se chhipke jo kartī hai
jo diyā bātī ke sāth kartā hai
dhartī jo āsmāṅ ko sunātī hai
bhaṅvrā kaliyoṅ se jo bāt kartā hai
hamne to kī vahī bāt
to sun le beliyā