la: terī duniyā meṅ nahīṅ koī hamārā apnā
beshāroṅ ko zarā de de sahārā apnā
de de sahārā apnā
terī duniyā meṅ nahīṅ koī hamārā apnā
ko: beshāroṅ ko zarā de de sahārā apnā
de de sahārā apnā
la: rūp lākhoṅ haiṅ tere hūṇ koī majbūr nahīṅ
koī zarrā nahīṅ jismeṅ ke terā nūr nahīṅ
apne bandoṅ se kisī hāl meṅ
tū dūr nahīṅ -2
tūne har kām jo bigaṛā vo sṇvārā apnā
ko: beshāroṅ ko zarā de de sahārā apnā
de de sahārā apnā
la: āye tūfāṇ jo ġharīboṅ ko miṭāne ke liye
ko: āye tūfāṇ
la: āye tūfāṇ jo ġharīboṅ ko miṭāne ke liye
āye muśhkil jo yatīmoṅ ko satāne ke liye
ko: apne bachchoṅ ko tū ā jānā bachāne ke liye -2
bachāne ke liye -2
ko: apne bachchoṅ ko tū ānā bachāne ke liye -2
la: tū hī himmat de inheṅ chāhne vāle haiṅ tere
tū hī apnā le hameṅ gāte haiṅ terī rachnā
ko: beshāroṅ ko zarā de de sahārā apnā
de de sahārā apnā
la: roz lete haiṅ terā nām jiye jāte haiṅ
pyās lagtī hai to āṇsū hī piye jāte haiṅ
ham bure hī sahī lekin tere kahlāte haiṅ
tū dayā kī hai nadī tū hai kinārā apnā
ko: beshāroṅ ko zarā de de sahārā apnā
de de sahārā apnā
% then stanzā "rūp lākhoṅ hai tere"