Title (Indic)जियो तो ऐसे जियो जैसे सब तुम्हारा है WorkBahu Beti Year1965 LanguageHindi Credits Role Artist Music Ravi Performer Mohammad Rafi Writer Sahir Ludhianvi LyricsHindiजियो तो ऐसे जियो जैसे सब तुम्हारा है मरो तो ऐसे कि जैसे तुम्हारा कुछ भी नहीं ये एक राज़ है कि दुनिया न जिसको जान सकी यही वो राज़ जो ज़िन्दगी से हासिल है तुम्हीं कहो ये राज़ तुम्हें कैसे समझाऊँ के ज़िन्दगी की घुटन ज़िन्दगी की क़ातिल है हर एक निगाह को ये क़ुदरत का इशारा है जियो तो ऐसे जियो … जहाँ में आ के जहाँ से खिंचे-खिंचे न रहो वो ज़िन्दगी ही नहीं जिसमें आस बुझ जाए कोई भी प्यास दबाए से दब नहीं सकती इसी से चैन मिलेगा कि प्यास बुझ जाए ये कहके मुड़ता हुआ ज़िन्दगी का धारा है जियो तो ऐसे जियो … ये आसमाँ ये ज़मीं ये फ़िज़ा ये नज़ारे तरस रहे हैं तुम्हारी इक नज़र के लिए नज़र चुरा के हर एक शै को यूँ न ठुकराओ कोई शरीक़-ए-सफ़र ढूँढ लो सफ़र के लिए बहुत क़रीब से मैने तुम्हें पुकारा है जियो तो ऐसे जियो … Englishjiyo to aise jiyo jaise sab tumhārā hai maro to aise ki jaise tumhārā kuchh bhī nahīṅ ye ek rāz hai ki duniyā na jisko jān sakī yahī vo rāz jo zindgī se hāsil hai tumhīṅ kaho ye rāz tumheṅ kaise samjhāūṇ ke zindgī kī ghuṭan zindgī kī qātil hai har ek nigāh ko ye qudarat kā iśhārā hai jiyo to aise jiyo … jahāṇ meṅ ā ke jahāṇ se khiṅche-khiṅche na raho vo zindgī hī nahīṅ jismeṅ ās bujh jāe koī bhī pyās dabāe se dab nahīṅ saktī isī se chain milegā ki pyās bujh jāe ye kahke muṛtā huā zindgī kā dhārā hai jiyo to aise jiyo … ye āsmāṇ ye zamīṅ ye fizā ye nazāre taras rahe haiṅ tumhārī ik nazar ke lie nazar churā ke har ek śhai ko yūṇ na ṭhukrāo koī śharīq-e-safar ḍhūṇḍh lo safar ke lie bahut qarīb se maine tumheṅ pukārā hai jiyo to aise jiyo …