gairoṅ pe karam, apnoṅ pe sitam
ai jān-e-vafā, ye zulm na kar
rahne de abhī, thoṛā sā bharam
ai jān-e-vafā, ye zulm na kar
ham chāhnevāle haiṅ tere, yūṇ ham ko jalānā ṭhik nahīṅ
mahafil meṅ tamāśhā ban jāye, is darjā satānā ṭhik nahīṅ
mar jāyeṅge ham miṭ jāyeṅge ham, ai jān-e-vafā, ye zulm na kar
gairoṅ ke thirakte śhānepar, ye hāth gaṅvārā kaise kareṅ?
har bāt gaṅvārā hai lekin ye bāt gaṅvārā kaise kareṅ?
tujhko terī bedardī kī kasam, ai jān-e-vafā, ye zulm na kar
ham bhī the tere maṅjūr-e-nazar, jī chāhe to ab ikrār na kar
sau tīr chalā sīne pe magar, begānoṅ se milkar vār na kar
bemaut kahīṅ mar jāye na ham, ai jān-e-vafā, ye zulm na kar