ġhairoṅ pe karam apnoṅ pe sitam, ai jān-e-vafā ye zulm na kar
rahne de abhī thoṛā sā dharam, ai jān-e-vafā ye zulm na kar
ye zulm na kar
ġhairoṅ pe karam …
ġhairoṅ ke thirakte śhānoṅ par, ye hāth gṇvārā kaise kareṅ
har bāt gaṅvārā hai lekin, ye bāt gaṅvārā kaise kareṅ
ye bāt gaṅvārā kaise kareṅ
mar jāeṅge ham, miṭ jāeṅge ham
ai jān-e-vafā ye zulm na kar, ye zulm na kar
ġhairoṅ pe karam …
ham bhī the tere maṅzūr-e-nazar, dil chāhā to ab iqrār na kar
sau tīr chalā sīne pe magar, begānoṅ se milkar vār na kar
begānoṅ se milkar vār na kar
bemaut kahīṅ mar jāeṅ na ham
ai jān-e-vafā ye zulm na kar, ye zulm na kar
ġhairoṅ pe karam …
ham chāhnevāle haiṅ tere, yūṇ hamko jalānā ṭhīk nahīṅ
mahfil meṅ tamāśhā ban jāeṅ, is darjā satānā ṭhīk nahīṅ
is darjā satānā ṭhīk nahīṅ
ai jān-e-vafā ye zulm na kar, ye zulm na kar
ġhairoṅ pe karam …