maiṅ ṭūṭī huī ek naiyā hūṇ
mujhe chāhe jidhar le jāo
jī chāhe ḍūboṅ do maujoṅ meṅ
yā sāhīl par le jāo
ek tum hī sahārā ho merā
jīvan kī aṅdherī rātoṅ meṅ
duniyā kī khuśhī, takdīr kā ग़m
sabkuchh hai tumhāre hāthoṅ meṅ
ab chāhe idhar le jāo mujhe
yā chāhe udhar le jāo
māyūs nazar, majbūr kadam
ujaṛā huā ālam hai dil kā
jīnā bhī ye koī jīnā hai
muṇh dekh sakūṇ nā maṅzil kā
bīte hue din mil jāe jahāṇ
mujhe aisī ḍagar le jāo
āṇsū nā bahāo mere lie
ग़m mujhko akele sahne do
ṭūṭe nā tumhārā nāzūk dil
ye dard mujh hī tak rahne do
ab chhoṛ do mujh ko rāhoṅ meṅ
yā dūr nagar le jāo