āj purānī rāhoṅ se, koī mujhe āvāz na de
dard meṅ ḍūbe gīt na de, gam kā sisaktā sāz na de
bīte dinoṅ kī yād thī jinmeṅ, maiṅ vo tarāne bhūl chukā
āj naī maṅzil hai merī, kal ke ṭhikāne bhūl chukā
na vo dil na sanam, na vo dīn-dharam
ab dūr hūṇ sāre gunāhoṅ se
jīvan badlā duniyā badlī, man ko anokhā jñān milā
āj mujhe apne hī dil meṅ, ek nayā insān milā
pahuṇchā hūṇ vahāṇ, nahīṅ dūr jahāṇ, bhagvān kī nek nigāhoṅ se
ṭūṭ chuke sab pyār ke baṅdhan, āj koī zaṅjīr nahīṅ
śhīśhā-e-dil meṅ armānoṅ kī, āj koī tasvīr nahīṅ
ab śhād hūṇ maiṅ, āzād hūṇ maiṅ, kuchh kām nahīṅ hai āhoṅ se