ज़ुल्फ़ रातों सी है रंगत है उजालों जैसी
ज़ुल्फ़ रातों सी है रंगत है उजालों जैसी
पर तबीयत है अभी भूलने वालों जैसी
ढूँढता फिरता हूँ लोगों में शबाहत उसकी
के वो ख़्वाबों में भी लगती है ख़यालों जैसी
किस इलाजार-ए-मुसाफ़त से मैं लौटा हूँ के हैं
आँसुओं में भी टपक पाँव के छालों जैसी
उसकी बातें भी दिल-आवेज़ हैं सूरत की तरह
मेरी सोचें भी परीशां मेरे बालों जैसी
उसकी आँखों को कभी गौर से देखा है 'फ़राज़्'
??
zulf rātoṅ sī hai raṅgat hai ujāloṅ jaisī
par tabīyat hai abhī bhūlne vāloṅ jaisī
ḍhūṇḍhtā phirtā hūṇ logoṅ meṅ śhabāhat uskī
ke vo khvāboṅ meṅ bhī lagtī hai khayāloṅ jaisī
kis ilājār-e-musāfat se maiṅ lauṭā hūṇ ke haiṅ
āṇsuoṅ meṅ bhī ṭapak pāṇv ke chhāloṅ jaisī
uskī bāteṅ bhī dil-āvez haiṅ sūrat kī tarah
merī socheṅ bhī parīśhāṅ mere bāloṅ jaisī
uskī āṇkhoṅ ko kabhī gaur se dekhā hai 'farāz'
??