mehaṅdī hai rachnevālī hāthoṅ meṅ gahrī lālī
kaheṅ sakhiyāṇ ab kaliyāṇ hāthoṅ meṅ khilne vālī haiṅ
tere man ko jīvan ko naī khuśhiyāṇ milne vālī haiṅ
ho hariyālī banno
le jāne tujh ko guīyāṇ āne vāle haiṅ saiyāṇ
thāmeṅge ā ke baiyāṇ gūṇjegī śhahnāī aṅgnāī aṅgnāī
gāyeṅ maiyā aur mausī gāyeṅ bahnā aur bhābhī
ki mehaṅdī khil jāye raṅg lāye hariyālī bannī
gāyeṅ phūphī aur chāchī gāyeṅ nānī aur dādī
singing)
ki mehaṅdī man bhāye saj jāye hariyālī bannī
mehaṅdī rūp sṇvāre ho mehaṅdī raṅg nikhāre ho
hariyālī bannī ke āṇchal meṅ utreṅge tāre
gāje bāje bārātī ghoṛā gāṛī aur hāthī ko
lāyeṅge sājan tere āṇgan hariyālī bannī
terī mehaṅdī vo dekheṅge to apnā dil rakh deṅge vo
pairoṅ meṅ tere chupke se hariyālī bannī
%(on your feet, secretly, o blūmed bride)