Zik‌ra hotaa hai jab qayaamat kaa tere jalvon

ज़िक्‌र होता है जब क़यामत का तेरे जलवों
Work
Year
Language

ज़िक्‌र होता है जब क़यामत का तेरे जलवों की बात होती है
तू जो चाहे तो दिन निकलता है तू जो चाहे तो रात होती है
ज़िक्‌र होता है जब …

तुझको देखा है मेरी नज़रों ने तेरी तारीफ़ हो मगर कैसे
के बने ये नज़र ज़ुबाँ कैसे के बने ये ज़ुबाँ नज़र कैसे
ना ज़ुबाँ को दिखाई देता है ना निग़ाहों से बात होती है
ज़िक्‌र होता है जब …

तू चली आए मुस्कुराती हुई तो बिखर जाएं हर तरफ़ कलियाँ
तू चली जाए उठ के पहलू से तो उजड़ जाएं फूलों की गलियाँ
जिस तरफ़ होती है नज़र तेरी उस तरफ़ क़ायनात होती है
ज़िक्‌र होता है जब …

तू निग़ाहों से ना पिलाए तो अश्क़ भी पीने वाले पीते हैं
वैसे जीने को तो तेरे बिन भी इस ज़माने में लोग जीते हैं
ज़िन्दगी तो उसी को कहते हैं जो गुज़र तेरे साथ होती है
ज़िक्‌र होता है जब …

zik‌ra hotā hai jab qayāmat kā tere jalvoṅ kī bāt hotī hai
tū jo chāhe to din nikaltā hai tū jo chāhe to rāt hotī hai
zik‌ra hotā hai jab …

tujhko dekhā hai merī nazroṅ ne terī tārīf ho magar kaise
ke bane ye nazar zubāṇ kaise ke bane ye zubāṇ nazar kaise
nā zubāṇ ko dikhāī detā hai nā niġhāhoṅ se bāt hotī hai
zik‌ra hotā hai jab …

tū chalī āe muskurātī huī to bikhar jāeṅ har taraf kaliyāṇ
tū chalī jāe uṭh ke pahlū se to ujaṛ jāeṅ phūloṅ kī galiyāṇ
jis taraf hotī hai nazar terī us taraf qāynāt hotī hai
zik‌ra hotā hai jab …

tū niġhāhoṅ se nā pilāe to aśhq bhī pīne vāle pīte haiṅ
vaise jīne ko to tere bin bhī is zamāne meṅ log jīte haiṅ
zindgī to usī ko kahte haiṅ jo guzar tere sāth hotī hai
zik‌ra hotā hai jab …