Zaahid na kah buree ke ye mastaane aadmee hain

ज़ाहिद न कह बुरी के ये मस्ताने आदमी हैं
Year
Language

ज़ाहिद न कह बुरी के ये मस्ताने आदमी हैं
तुझको लिपट पड़ेंगे दीवाने आदमी हैं

ग़ैरों की दोस्ती पर क्‌यूँ ऐतबार कीजे
ये दुश्मनी करेंगे बेगाने आदमी हैं

तुमने हमारे दिल में घर कर लिया तो क्‌या है
आबाद करते आख़िर वीराने आदमी हैं

क्‌या चोर है जो हमको दरबाँ तुम्हारा टोके
कह दो के ये तो जाने-पहचाने आदमी हैं

zāhid na kah burī ke ye mastāne ādmī haiṅ
tujhko lipaṭ paṛeṅge dīvāne ādmī haiṅ

ġhairoṅ kī dostī par k‌yūṇ aitbār kīje
ye duśhmnī kareṅge begāne ādmī haiṅ

tumne hamāre dil meṅ ghar kar liyā to k‌yā hai
ābād karte ākhir vīrāne ādmī haiṅ

k‌yā chor hai jo hamko darbāṇ tumhārā ṭoke
kah do ke ye to jāne-pahchāne ādmī haiṅ