यूँ ज़िंदगी की राह में टकरा गया कोई
यूँ ज़िंदगी की राह में टकरा गया कोई
इक रोशनी अन्धेरों में बिखरा गया कोई
वो हादसा वो पहली मुलाकार क्या कहें
कितनी अजब थी सूरत-ए-हालात क्या कहूँ
वो क़हर वो ग़ज़ब वो जफ़ा मुझको याद है
वो उसकी बेरुख़ी की अदा मुझको याद है
मिटता नहीं है ज़हन से यूँ छा गया कोई
पहले वो मुझको देख कर बरहम सी हो गई
फिर अपने ही हसीन ख़यालों में खो गई
बेचारगी पे मेरी उसे रहम आ गया
शायद मेरे तड़पने का अन्दाज़ भा गया
साँसों से भी क़रीब मेरे आ गया कोई
अब उस दिल-ए-तबाह की हालत न पूछिये
बेनाम आरज़ूओं की लज़्ज़त न पूछिये
इक अजनबी था रूह का अरमान बन गया
इक हादसा था प्यार का उनवान बन गया
मन्ज़िल का रास्ता मुझे दिखला गया कोई
yūṇ ziṅdgī kī rāh meṅ ṭakrā gayā koī
ik rośhnī andheroṅ meṅ bikhrā gayā koī
vo hādsā vo pahlī mulākār kyā kaheṅ
kitnī ajab thī sūrat-e-hālāt kyā kahūṇ
vo qahar vo ġhazab vo jafā mujhko yād hai
vo uskī berukhī kī adā mujhko yād hai
miṭtā nahīṅ hai zahan se yūṇ chhā gayā koī
pahle vo mujhko dekh kar baraham sī ho gaī
phir apne hī hasīn khayāloṅ meṅ kho gaī
bechārgī pe merī use raham ā gayā
śhāyad mere taṛapne kā andāz bhā gayā
sāṇsoṅ se bhī qarīb mere ā gayā koī
ab us dil-e-tabāh kī hālat na pūchhiye
benām ārazūoṅ kī lazazat na pūchhiye
ik ajanbī thā rūh kā armān ban gayā
ik hādsā thā pyār kā unvān ban gayā
manzil kā rāstā mujhe dikhlā gayā koī