maiṅ koī aisā gīt gāūṇ ke ārjū jagāūṇ, agar tum kaho
tum ko bulāūṇ kī palke bichhāūṇ, kadam tum jahāṇ jahāṇ rakho
jamīṅ ko āsmāṅ banāūṇ, sitāroṇ se sajāūṇ, agar tum kaho
mai titliyoṅ ke pīchhe bhāgūṇ, maiṅ jugnūoṅ ke pīchhe jāūṇ
ye raṅg hai vo rośhnī hai, tumhāre pās dono lāūṇ
jitnī khūśhbūyeṅ bāg meṅ mile, maiṅ lāūṇ vahāṇ pe ke tum ho jahāṇ
jahāṇ pe ek pal bhī ṭhahrūṇ, maiṅ gulsitā banāūṇ, agar tum kaho
agar kaho to maiṅ sunāūṇ, tumhe hasīṅ kahāniyāṇ
sunoge kyā merī jabānī, tum ek parī kī dāstāṇ
yā maiṅ karūṇ tum se bayāṇ, ke rājā se rānī milī thī kahāṇ
kahāniyoṅ ke nagar meṅ tumhe le ke jāūṇ, agar tum kaho