merā dil ik khālī kamrā kamre meṅ koī rahne lagā
ye sārā zamānā kahne lagā
is chor ko ghar se nikālo
maine kahā zor lagā lo
are ye nahīṅ jāegā
chalā gayā to phir vāpas nahīṅ āegā
merā dil ik khālī …
bachapan kī koī kahānī hai
yā iskā nām javānī hai
ye hāl na jāne kab se hai
pahle se thā yā ab se hai
koī isse kuchh mat kahnā
ye merī guzāriśh sabse hai
sun lo o duniyā vāloṅ
tum chāheṅ śhor machā lo
are ye nahīṅ …
ik dil bole ye apnā hai
ik dil bole nahīṅ sapnā hai
sārā din dil dhaṛkātā hai
phir sārī rāt jagātā hai
gussā ātā hai bahut magar
thoṛā sā pyār bhī ātā hai
koī bole dil de ḍālo
koī bole jān chhuṛā lo
ye nahīṅ …
ye chor nahīṅ hai mor hai ye
ye mor nahīṅ koī aur hai ye
khālī piṅjrā rah jāegā
ye paṅchhī to uṛ jāegā
ye bhūlā bhaṭkā rāhī hai
kisī moṛ se ye muṛ jāegā
chalo mujhse śhart lagā lo
kore kāgaz pe likhvā lo
are ye nahīṅ …