किसी की आँखों का काजल ... जो प्यार करता है
किसी की आँखों का काजल बन जाता है
किसी की ज़ुल्फ़ों का बादल बन जाता है
किसी के तीरों का घायल बन जाता है
जो प्यार करता है पागल बन जाता है
जो प्यार करता है …
प्यार में जीना प्यार में मरना
आज ही कर लो जो है करना
देर बहुत हो जाएगी वरना
आज का दिन जो गुज़र गया तो कल बन जाता है
जो प्यार करता है …
यादें उमंगें अरमां सपने
सबके यहां घर अपने अपने
ये सच है ये माना सबने
शहर ये दिल का उजड़े तो जंगल बन जाता है
जो प्यार करता है …
दिल देता है जां लेता है
अमृत में विष भर देता है
जीना मुश्किल कर देता है
प्यार कभी हर मुश्किल का हल बन जाता है
जो प्यार करता है …
kisī kī āṇkhoṅ kā kājal ban jātā hai
kisī kī zulfoṅ kā bādal ban jātā hai
kisī ke tīroṅ kā ghāyal ban jātā hai
jo pyār kartā hai pāgal ban jātā hai
jo pyār kartā hai …
pyār meṅ jīnā pyār meṅ marnā
āj hī kar lo jo hai karnā
der bahut ho jāegī varnā
āj kā din jo guzar gayā to kal ban jātā hai
jo pyār kartā hai …
yādeṅ umaṅgeṅ armāṅ sapne
sabke yahāṅ ghar apne apne
ye sach hai ye mānā sabne
śhahar ye dil kā ujaṛe to jaṅgal ban jātā hai
jo pyār kartā hai …
dil detā hai jāṅ letā hai
amṛt meṅ viṣh bhar detā hai
jīnā muśhkil kar detā hai
pyār kabhī har muśhkil kā hal ban jātā hai
jo pyār kartā hai …