maiṅ ne ik gīt likhā hai, jo tumko sunātī hūṇ
soye hue raṅgīṅ khvāboṅ ko, sāṇsoṅ se sajātī hūṇ
hṇste hue phūloṅ pe, ṭhahrī huī śhabnam hai
yah kaun sā naġhmā hai, yah kaun sī sargam hai
ik sāz jo gumsum hai, maiṅ usko jagātī hūṇ
maiṅ ne ik gīt likhā hai …
yah dhūp khaṭaktī sī, soye hue sāye haiṅ
kis deśh se chal kar yah, is deśh meṅ āye haiṅ
maiṅ inkī sadā bankar us pār se ātī hūṇ
sāṇsoṅ meṅ samātī hūṇ
maiṅ ne ik gīt likhā hai …
ik pyār kī sihran hai, madamast phuhāroṅ meṅ
ik śhokh śharārat hai, raṅgīn nazāroṅ meṅ
is pyār ke sāġhar meṅ, maujoṅ ko uṭhātī hūṇ
maiṅ ne ik gīt likhā hai …